Tum jao hum se door to ek kaam ker jana
Kuch pal apne hamare naam ker jana...
...
Agar aa jaye mout hame aap k ane se pehle
To aa ker mere janaze ka dedaar kar jana...
...
Na rona iss qadar k takleef ho hame..
Mout ko bhi mazaq samajh ker anjan ban jana...
..
Main ek din so jaoonga sadaa k liye..
Phir mujhe bewafa keh ker badnaam kar jana..
...
Jo guzro meri qabar se to nazrein na phairna..
Ajnabi hi ban kar dua salam ker jana....!!!


2 comments:

Ambar jaiswal said...

Aaj tu meri mohabat pe ek ehsaan kar,
Apne saare gum tu aaj mere naam kar,

Jo lamha rulata hai tujhe yaad bankar,
Apna woh aansoon meri nazron ke naam kar,

Suna hai chale jaate hai log tanha safar mein chor kar,
Par aaj tu mera haath thamkar zindagi ka safar paar kar,

Hai tujhse mujhe mohabat duniya ki har rasam tod kar,
Meri mohabat pe tu aaj itna sa aitbaar kar,

Chalna hai zindagi bhar mujhe tera saaya bankar,
Meri is aarzoo ko aaj tu dil se qabool kar...!!!

Reshme Jha said...

tu jo badla, badal gaye hum bhi
pyaar karte the bandagi to nahin
umar ka kya hai, kat he jaayegi
tu koi shart-e-zindagi to nahin

Post a Comment